Tuesday, January 17, 2012

Talat Mahmood's - Hain sabse madhur vo geet jinhen

Title: Hain sabse madhur vo geet jinhen
Film: Patita
Music Director:  Shankar-Jaikishan 
Lyricist:  Shailendra 
Singer(s):  talat 

Lyrics:

Hain sabse madhur vo geet jinhen, ham dard ke sur mein gate hain
jab had se guzar jati hai khushi, ansu bhi chhalakate aate hain
hain sabse madhur vo geet

(pahalu men paraaye dard basake, hansana hansana sikh zaraa
tu hansana hansaana sikh zaraa ) \- 2
tufan se kah de ghir ke uthe, ham pyaar ke dip jalaate hain
ham pyaar ke dip jalaate hain
hain sabse madhur vo geet ...

(kanton men khile hain phul hamaare, rang bhare aramanon ke
rang bhare aramaanon ke ) \- 2
nadan hain jo in kanton se, daaman ko bachaaye jaate hain
daaman ko bachaaye jaate hain
hain sabse madhur vo geet ...

(jab Gam ka andhera ghir aaye, samajho ke savera door nahiin
samajho ke savera door nahin ) \- 2
har rat ki hai saugat yahi, tare bhi yahi doharate hain
tare bhi yahi doharate hain
hain sabse madhur vo geet ...

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.