Sunday, February 12, 2012

Agneepath (2012) - Deva Shree Ganesha

Singer: Ajay Gogavale
Movie: Agneepath (2012)
Music Director: Ajay Gogavale, Atul Gogavale
Lyricist: Amitabh Bhattacharya
Starcast: Hrithik Roshan, Priyanka Chopra, Sanjay Dutt
Director: Karan Malhotra
Release Date: January 26th 2012

Lyrics:


Deva Shree Ganesha..(x16)

Jwaala si chalti hai aankhon mein jiske bhi
Dil mein tera naam hai
Parwaah hi kya uska aarambh kaisa hai aur kaisa parinaam hai
Dharti ambar sitaare hai
Usski nazaare utaarein
Darr bhi uss se dara re
Jiski rakhwaliya re karta saaya tera

Deva Shree Ganesha..(x8)

Ho...
Teri bhakti ka vardaan hai
Jo kamaaye woh dhanwaan hai
Bin kinare ki kashti hai woh
Deva, Tujhse jo anjaan hai
Yun tto mooshak sawari teri
Sab pe hai pehredaari teri
Paap ki aandhiyaan na kaha
Kabhi jyoti na haari teri
Apni taqdeer ka woh, khud sikander huaa re
Bhool ke yeh jahaan re, kiski silien ya haare
Saath paaya tera hey

Deva Shree Ganesha..(x4)

Ho teri dhuli ka teeka kiye
Deva jo bhakt tera jiye
Usey amrit ka hai moh hai kya
Hass ke vish ka woh pyaala piye
Teri mahima ki chhaaya tale
Kaal ke rath ka pahiyaa chale
Ek chingaari pratishodh se
Khadi ravaan ki lanka jale

Shatruo'n ki qataarein ik akele se haare
Kann bhi parvat huaa re
Shlok bann ke jahaan re naam aaya tera hey!

Deva shree ganesha..(x8)

Ganpati Bappa Moreya

Twameva Mata cha Pita twameva
Twameva Bandhu Sakha twameva
Twameva Vidya Dravinam twameva
Twameva Sarvam mum Dev Deva

Achutam Keshavam Rama Narayanam
Krishna Damodaram Vasudevam Harim
Sridharam Madhavum Gopika Vallabham
Janki naayakam Ramachandram bhaje


Hare Ram hare Ram, Ram Ram hare hare..!!

Agneepath (2012) - Shah Ka Rutba

Singer: Sukhwinder Singh, Krishna, Anand Raj Anand
Movie: Agneepath (2012)
Music Director: Ajay Gogavale, Atul Gogavale
Lyricist: Amitabh Bhattacharya
Starcast: Hrithik Roshan, Priyanka Chopra, Sanjay Dutt
Director: Karan Malhotra
Release Date: January 26th 2012


Lyrics:


Ho o...
Shah ka rutba shehanshahon si teri baat hai
Shah ka rutba shehanshahon si teri baat hai

Ho.. Shahon ka jo Shah uska tere sar pe hath hai
Shahon ka jo Shah uska tere sar pe hath hai
Tere qadamon ke tale mitti bhi sona bann gayi
Jar huaa dushman jahaan shamsheer teri tan gayi

Tu wali hai tu meherman hai nigehmaan hai tu hi
Hai farishtey bhi parishtish mein teri qurbaan wallah
Tu wali hai tu meherman hai nigehmaan hai tu hi
Ban gaya kanoon jo bhi tu likhe parvaan wallah ho

Nazara jannaton ka aaj tere ru-b-ru hai
Tera Lakht-e-jigar saaya hai tera hu-b-hu hai
Haan sadke aaj uske sar ke sehre ke sabhi hain
Ki teri saltnat ke takht ka woh jaanasheen hai

Guroor yeh, jalwa rahe

Teri kismat khud tere haatho'n khilona bann gayi
Jar huaa dushman jahaan shamsheer teri tann gayi
Tu wali hai tu meherman hai nigehmaan hai tu hi
Hai farishtey bhi parishtish mein teri qurbaan wallah
Tu wali hai tu meherman hai nigehmaan hai tu hi
Ban gaya kanoon jo bhi tu likhe parvaan wallah ho

Ghar deewane aam naa ho, koi Akbar naa huaa
Jo tumhaare sar jhuke toh shenshah main huaa
Allah raha mera har pal hafeez tto safar yeh tai hua

Ghar deewane aam naa ho, koi Akbar na huaa

Chaar majboot naujawaan kandhe
Tujhko tere Khuda ne bakhshe hain
Inke haathon ki jo laqeerein hain
Tere dono jahaan ke nakshe hain

Zindagi toh har Qadam nayi disha mein hai
Yeh hi toh mere sheh-maat hain
Yeh dono meri Qaaynaat hain yaa

Chaar majboot naujawaan kandhe
Tujhko tere Khuda ne bakhshe hain
Inke haathon ki jo laqeerein hain
Tere dono jahaan ke nakshe hain

Ya wallah ya maula..

Agneepath (2012) - Gun Gun Guna ye gaana re

Singer: Sunidhi Chauhan, Udit Narayan
Music Director: Ajay Gogavale, Atul Gogavale
Lyricist: Amitabh Bhattacharya
Starcast: Hrithik Roshan, Priyanka Chopra, Sanjay Dutt
Director: Karan Malhotra
Release Date: January 26th 2012

Lyrics:


Gun Gun Guna re
Gun Gun Guna re
Gun Gun Guna ye gaana re (x5)

Ho Maayusion ke chonge utaar ke phenk de na saare
Candle ye shaam ka phoonk raat ka cake kaat pyaare
Sikha na tune magar humne sikhaya re
Dumdaar nuskha yaar humne jo aajmaaya re
Aasuo'n ko chooran chaba ke humne dakaar maara re

Gun Gun Guna re
Gun Gun Guna re
Gun Gun Guna ye gaana re (x2)
Gun.. gun..gun...

Hmm.. sar pe hain tere khujli ke jo tokre
La humko dede halka hoja re tu chhokre
Jo neende apne naakhun se jo noch le woh
Dard saare jalte choolhe mein tu jhonk re
Zindagi ke raashan mein gham ulta zyada hai
Thok mein kharidenge khushi ka pitara re

Gun Gun Guna re
Gun Gun Guna re
Gun Gun Guna ye gaana re (x2 times)
Gun.. gun..gun...

Ho aye ho
Tu munh phulaa le sooraj bhi dhalne lage
Tu muskura de chand bhi jalne lage
Chup rahe toh maano behri lage zindagi
Tu bol de toh parde kaano ke khulne lage
Ek bandh bottle ke jaisa kya hau betha hai
Khali dil se bhar de ye glass hamara re

Gun Gun Guna re
Gun Gun Guna re
Gun Gun Guna ye gaana re (x2 times)
Gun.. gun..gun...

Ho bindaas hoke har gham ko khoonti pe taang dunga
Thoda udhaar itminaan main tum se hi maang lunga
Sikha hai maine jo tumne sikhaya re
Dumdaar nuskha yaar maine bhi aajzmaaya re
Aasuon ka chooran chaba ke maine dakaar maara re

Gun Gun Guna re
Gun Gun Guna re
Gun Gun Guna ye gaana re (x4 times)

Agneepath (2012) - Abhi Mujh Mein Kahin

Singer: Sonu Nigam
Movie: Agneepath (2012)
Music Director: Ajay Gogavale, Atul Gogavale
Lyricist: Amitabh Bhattacharya
Starcast: Hrithik Roshan, Priyanka Chopra, Sanjay Dutt
Director: Karan Malhotra
Release Date: January 26th 2012

Lyrics:


Abhi mujh mein kahin
Baaqi thodi si hai zindagi
Jagi dhadkan nayi
Jaana zinda hoon main toh abhi
Kuch aisi lagan iss lamhe mein hai
Ye lamha kahaan tha mera
Ab hai saamne
Issey chhoo loon zaraa
Mar jaaoon ya jee loon zaraa
Khushiyaan choom loon
Yaa ro loo'n :'( zaraa
Mar jaaoon ya jee loon zaraa

Ho o.. abhi mujh mein kahin
Baaqi thodi si hai zindagi

Ho.. dhoop mein jalte huey tann ko, chhaya perh ki mill gayee
Roothe bachche ki hansi jaise, phuslaane se phir khill gayee
Kuchh aisa hi abb mehsoos dil ko ho rahaa hai
Barso'n ke puraane zakhm pe marham laga saa hai
Kuch ehsaar hai, iss lamhe mein hai
Ye lamha kahaan tha mera
Ab hai saamne
Issey chhoo loon zara
Mar jaaoon ya jee loon zara
Khushiyaan choom loon
Yaa ro loo'n zaraa
Mar jaaoo'n yaa jee loon zaraa

Dor se tooti patang jaisi, thi ye zindagani meri
Aaj ho kal ho mera naa ho
Har din thi kahani meri
Ik bandhan naya peechhe se abb mujhko bulaaye
Aane waley kal ki kyun fikar mujhko sata jaaye
Ik aisi chubhan iss lamhe me hai
Ye lamha kahaan tha mera aa
Ab hai saamne
Issey chhoo loon zara
Mar jaaoo'n ya jee loon zara
Khushiyaan choom loon
Yaa ro loo'n zaraa
Mar jaaoo'n ya jee loon zara

Agneepath (2012) - O Saiyyan Song

Singer: Roop Kumar Rathod
Movie: Agneepath (2012)
Music Director: Ajay Gogavale, Atul Gogavale
Lyricist: Amitabh Bhattacharya
Starcast: Hrithik Roshan, Priyanka Chopra, Sanjay Dutt
Director: Karan Malhotra
Release Date: January 26th 2012

Lyrics:


Meri adhoori kahaani
Lo daastaan bann gayi
Ho Tune chhuaa aaj aise
Main kya se kya ban gaya

Sehme huey sapne mere haule-haule angdaiyaan le rahe
Thehre huey lamhe mere nayi-nayi gehraiyaan le rahe
Zindagi ne pehni hai muskaan
Karne lagi hai itna karam kyun na jaane

Karvat lene lage hai armaan phir bhi hai
Aankh num kyun naa jaane O Saiyyan...

Odhu teri kaaya
Solah sigaar main saja loon
Sangam ki ye raina isme tyonhar main mana loom
Khushboo teri choo ke kastoori main ho jaaun
Kitni pheeki thi main sindoori main ho jaaun
Sur se zara behki huyi meri duniya thi badi be-suri
Sur mein tere dhalne lagi
Bani re piya main bani baansuri
Zindagi ne pehni hai muskaan
Karne lagi hai itna karam kyun na jaane

Karvat lene lage hai armaan phir bhi hai
Aankh num kyun naa jaane O Saiyyan...

Mere aasmaan se jo hamesha gumshuda thay
Chaand taare tune garrdishon ki lay badal di
Laut aaye aaj saare...

O Saiyyan...

Agneepath (2012) - Chikni Chameli

Singer: Shreya Ghoshal
Movie: Agneepath (2012)
Lyricist: Amitabh Bhattacharya
Music Director: Ajay Gogavale, Atul Gogavale
Director: Karan Malhotra
Starcast: Hrithik Roshan, Priyanka Chopra, Sanjay Dutt
Release Date: January 26, 2012


Lyrics:

Bichhu mere naina, badi zehereeli aankh maare
Kamsin kamariya saali ik thumke se lakh maare

Haaye!
Bichhu mere naina, badi zehereeli aankh maare
Kamsin kamariya saali ik thumke se lakh maare
Note hazaaro'n ke, khulla chhutta karaane aayi
Husn ki teelli se beedi-chillam jalaane aayi

Aaayi ! chikni chameli chhup ke akeli pawwa (quarter) chadha ke aayi (x4 times)

Jungle mein aaj mangal karungi main
Bhookhe sheron se khelungi main
Makkhan jaisi hatheli pe jalte angaare le lungi main
Haaye! gehre paani ki machhli hoon Raja
Ghaat Ghaat dariya mein ghoomi hoon main
Teri nazro ki leharo'n se haar ke aaj doobi hoon main
http://www.lyricsmint.com
Hoye jaanleva jalwa hai
Dekhne mein halwa hai
Jaanleva jalwa hai
Dekhne mein halwa hai
Pyaar se paros doongi toot le zaraa

Yeh toh trailer hai poori fillam dikhane aayi
Husn ki teelli se beedi-chillam jalaane aayi

Aaayi ! chikni chameli chhup ke akeli pawwa chadha ke aayi (x4 times)

Banjar basti mein aayi hai masti
Aisa namkeen chehra tera
Meri neeyat pe chadhke chhoote na hai rang gehra tera
Joban ye mera kenchi hai raja
Saare pardo ko kaatungi main
Shaame meri akeli hai aaja sang tere baatungi main
Haaye! baaton mein ishaara hai
Jisme khel saara hai
Baaton mein ishaara hai
Jisme khel saara hai
Tod ke tijoriyon ko loot le zara
Choom ke zakhmo pe thoda malham lagaane aayi
Husn ki teelli se beedi-chillam jalaane aa.yi
Aayi Chikni..chikni...aayi..aayi
Aayi Chikni..chikni...aayi..aayi
Aaayi ! chikni chameli chhup ke akeli pawwa chadha ke aayi....

Pyaar Ishq Aur Mohabbat (2001) - Tum Laakh Chhupe Ho

Song Title: Tum Laakh Chhupe Ho
Singer(s): HARIHARAN AND JANKI
Cast(s): Aftab Shivdasani , Arjun Rampal , Kirti Reddy, etc

Hindi Lyrics:


Ho Oh Oh Oh, Ho Oh Oh Oh Oh, Ho Oh Oh, Ho Oh
(Is Parbat Pe, Is Patjhad Mein
Phool Koi Khil Jaaye) - 2
Haan, Kab Se Usko Dhoond Raha Hoon
Shaayad Voh Mil Jaaye - 2
Mil Jaaye, Mil Jaaye

Haan, Aah Aah Aah
(Tum Laakh Chhupe Ho Mujhse Lekin
Maine Dhoond Liya Hai) - 2
Haan, Naam Pataa Is Dil Se Tumhaara
Maine Poochh Liya Hai - 2
Tum Laakh Chhupe Ho Mujhse Lekin
Maine Dhoond Liya Hai

(Kuch Sunti Ho Na Kehti Ho
Tasveer Si Bas Chhup Rehti Ho) - 2
Jaaneman Meri Jaan Ho Tum
Lekin Mujhse Anjaan Ho Tum
Maine Ek Patthar Ki Moorat Ko
Shaayad Pooj Liya Hai - 2
Tum Laakh Chhupe Ho Mujhse Lekin
Maine Dhoond Liya Hai

--FEMALE--
Oh, Aa Aa Aa Aa Aa

--MALE--
Aa Aa Aa Aa Aa, Aa Aa Aa

--FEMALE--
Aa Aa Aa Aa Aa

--MALE--
Aa Aa Aa Aa Aa Aa

--BOTH--
Aa Aa Aa Aa

--MALE--
(Yeh Gora Gora Mukhda Hai
Ya Koi Chaand Ka Tukda Hai) - 2
Yeh Pyaari Pyaari Aankhen Hai
Ya Gehri Gehri Jheelen Hai
Tum Yeh Kya Jaano, In Aankhon Mein
Koi Doob Gaya Hai - 2
Tum Laakh Chhupe Ho Mujhse Lekin
Maine Dhoond Liya Hai
Haan, Naam Pataa Is Dil Se Tumhaara
Maine Poochh Liya Hai - 2
Tum Laakh Chhupe Ho Mujhse Lekin
Maine Dhoond Liya Hai
Haan, Maine Dhoond Liya Hai – 2


Pyaar Ishq Aur Mohabbat (2001) - Pyaar Ishq Aur Mohabbat [Title Song]

Song Title: Pyaar Ishq Aur Mohabbat [Title Song]
Singer(s): UDIT NARAYAN AND ALKA YAGNIK

Hindi Lyrics:


--MALE--
Pyaar ishq aur mohabbat - 2
Jo bhi inka naam le, pehle dil ko thaam le
Naam lene se hi qayaamat ho jaati hai
Pyaar ishq aur mohabbat - 2
Jo bhi inka naam le, pehle dil ko thaam le
Naam lene se hi qayaamat ho jaati hai
Pyaar ishq aur mohabbat - 2

Humko bhi rog yeh lag jaaye agar
Aisa ho to ho kya, aisa kyoon ho magar
Jisne bhi yeh dil diya, jisne bhi yeh gham liya
Kuch na poochho uski baatein
Lambi lambi kaali raatein
Uski aankhon se neend rukhsat ho jaati hai
Pyaar ishq aur mohabbat - 2

--FEMALE--
Is jagaa hum mile phool dil mein khile
Kya khabar, kya pataa hum mein tum mein ho kya
Baaton baaton mein kabhi, aankhon aakhon mein kabhi
Chaar din ki dosti mein
Ek zara si dillagi mein
Bas kisi ek din sharaarat ho jaati hai
Pyaar ishq aur mohabbat - 2
Jo bhi inka naam le, pehle dil ko thaam le
Naam lene se hi qayaamat ho jaati hai

--BOTH--
Pyaar ishq aur mohabbat - 2

Pyaar Ishq Aur Mohabbat (2001) - Jab tujhe maine dekha

Song Title: Jab tujhe maine dekha
Singer(s): SADHANA SARGAM AND UDIT NARAYAN

Hindi Lyrics:

--FEMALE--
La la la la, la la la
La la la la, la la la, aah aah

--MALE--
(Jab tujhe maine dekha nahin tha
Is tarah maine socha nahin tha) - 2
Koi bhi kuch bhi aisa nahin tha
Koi bhi tere jaisa nahin tha
Jab tujhe maine dekha to jaana
Khoobsurat hai kitna zamaana - 2
Jab tujhe maine dekha nahin tha
Is tarah maine socha nahin tha
Koi bhi kuch bhi aisa nahin tha
Koi bhi tere jaisa nahin tha
Jab tujhe maine dekha to jaana
Khoobsurat hai kitna zamaana - 2

--FEMALE--
La la la la, la la la
La la la la, la la la, aah aah

--MALE--
(Yeh hi shaher tha, gulsitaa tha
Yeh hi phool the, yeh samaa tha) - 2
Kayi baar guzra main yahan se
Par mera dil na jaane kahan tha
Jab tujhe maine dekha to jaana
Uff yeh mausam hai kitna suhaana - 2

--FEMALE--
(Zindagi ki ya koi paheli
Haan yeh raahein thi kitni akeli) - 2
Main yunhi chali jaa rahi thi
Door manzil nazar aa rahi thi
Jab tujhe maine dekha to jaana
Bas kahin ab nahin mujhko jaana
Haan, bas kahin ab nahin mujhko jaana

--MALE--
Jab tujhe maine dekha nahin tha

--FEMALE--
Is tarah maine socha nahin tha

--MALE--
Koi bhi kuch bhi aisa nahin tha

--FEMALE--
Koi bhi tere jaisa nahin tha

--MALE--
Jab tujhe maine dekha to jaana
Khoobsurat hai kitna zamaana

--FEMALE--
Aah, khoobsurat hai kitna zamaana

--MALE--
Uff yeh mausam hai kitna suhaana

--FEMALE--
Haan, bas kahin ab nahin mujhko jaana

Pyaar Ishq Aur Mohabbat (2001) - Dono taraf aag hai lagi

Song Title: Dono taraf aag hai lagi
Singer(s): KUMAR SANU AND KAVITA KRISHNAMURTHY-SUBRAMANIAM

Hindi Lyrics:


--CHORUS--
Sa ga re ma pa dha ma, sa ga re ma pa sa
Sa ga re ma pa dha ma

--MALE--
Yahan, vahan, idhar, udhar
Dono taraf aag hai lagi, dono taraf pyaas hai jagi
Dono taraf ek jaisa haal, dono taraf dil hai beqaraar
Isi ko to kehte hai pyaar - 3

--FEMALE--
Ho, dono taraf aag hai lagi, dono taraf pyaas hai jagi
Dono taraf ek jaisa haal, dono taraf dil hai beqaraar
Isi ko to kehte hai pyaar - 3

--CHORUS--
Sa ga re ma pa dha ma, sa ga re ma pa sa - 2

--MALE--
Hmm, kahin kahin khilte hai yeh phool
Kabhi kabhi hoti hai yeh bhool
Kahin kahin khilte hai yeh phool
Kabhi kabhi hoti hai yeh bhool
Kisi kisi ko yeh nasha
Koi koi dil ka kharidaar

--FEMALE--
Jumma jumma huye saat din tere mere mulaqaat ko
Neend nahin aati raat ko, jeena mera hua dushvaar
Isi ko to kehte hai pyaar - 3

--MALE--
Mm hmm hmm, eh hey hey eh, o ho ho ho, aa ha ha

--FEMALE--
La la, la la aa, la la la

Aa aa aa, yaad bahut aate ho tum
Aake chale jaate ho tum
Yaad bahut aate ho tum
Aake chale jaate ho tum
Abhi aa na jaana chhodke
Dil mein samaa jaao mere yaar

--MALE--
Baith jaa tu mere saamne, main teri tasveer kheench loon
Jab bhi jahan bhi main chaahoon, kar loon tera deedaar
Isi ko to kehte hai pyaar - 3
Dono taraf aag hai lagi

--FEMALE--
Dono taraf pyaas hai jagi

--MALE--
Dono taraf ek jaisa haal

--FEMALE--
Dono taraf dil hai beqaraar

--MALE--
Isi ko to kehte hai pyaar

--FEMALE--
Haan, isi ko to kehte hai pyaar

--BOTH--
Isi ko to kehte hai pyaar

--FEMALE--
Mmm, aah aah, aah aah, aah

Pyaar Ishq Aur Mohabbat (2001) - Chaand ho ya na ho

Song Title: Chaand ho ya na ho
Singer(s): Sonu Nigam & Alka Yagnik

Hindi Lyrics:


--FEMALE--
(Chaand ho ya na ho, chaandni raat hai
Main tere saath hoon, tu mere saath hai) - 2

--MALE--
Aur kuch ho na ho, ek hi baat hai
Khoobsurat badi yeh mulaqaat hai

--FEMALE--
(Kaisa yeh mausam o saajan hai
Baadal hai koi na saawan hai) - 2
Lag raha hai magar aaj barsaat hai
Main tere saath hoon, tu mere saath hai

--MALE--
Mm, aur kuch ho na ho, ek hi baat hai
Khoobsurat badi yeh mulaqaat hai

(Pyaar ke kachche dhaage ki is dor se
Ek duje ko chal baandh le zor se) - 2
Apne armaanon ki aaj baaraat hai
Khoobsurat badi yeh mulaqaat hai

--FEMALE--
Chaand ho ya na ho, chaandni raat hai
Main tere saath hoon, tu mere saath hai

--MALE--
Aa, khoobsurat badi yeh mulaqaat hai

--FEMALE--
(Aa aa aa, aa ha ha, aa ha aa aa aa aa)

Pyaar Ishq Aur Mohabbat (2001) - Apni Yaadon Ko

Song Title: Apni Yaadon Ko
Singer(s): SHAAN

Hindi Lyrics:


--MALE--
Hmm, apni yaadon ko chhod na jaana
Apne vaadon ko tod na jaana
Jaana main hoon tera deewana, deewana
Aashiq pehla puraana
Apni yaadon ko chhod na jaana
Apne vaadon ko tod na jaana
Jaana main hoon tera deewana, deewana
Aashiq pehla puraana

Jaise tune toda mera dil, tera dil tootega - 2
Tere haathon se bhi kisi ka daaman chhootega
Yaad rakhna, o bekadar, bekhabar bewafa
Mm hmm hmm hmm
Hmm, saari rasmon ko chhod na jaana
Apni kasmon ko tod na jaana
Jaana main hoon tera deewana, deewana
Aashiq pehla puraana

Hmm, mere baad ab kisko barbaad karegi
Mere baad ab kisko barbaad karegi
Meri tarah tu bhi ek din faryaad karegi
Yaad rakhna, o beadab, besamajh beimaan
Mm hmm hmm hmm
Haan, aise apnon ko chhod na jaana
Mere sapnon ko tod na jaana
Jaana main hoon tera deewana, deewana
Aashiq pehla puraana
Apni yaadon ko chhod na jaana
Apne vaadon ko tod no jaana
Jaana main hoon tera deewana, deewana
Aashiq pehla puraana

Pyaar Ishq Aur Mohabbat (2001) - Main bewafa, main bekadar

Song Title: Main bewafa, main bekadar
Singer(s): KUMAR SANU

Hindi Lyrics:


(Main bewafa, main bekadar, maine tera dil toda
Mera bhi dil toota magar, tujkho nahin iski khabar
Teri yaad mein dil thaamkar tadpoonga main saari umar) - 2

Duniya ke sab aashiqon ki todi hai sab maine rasme - 2
Beche hai sab apne vaade, bechi hai sab apni kasme
Bechi hai sab apni kasme
Main bewafa, main bekadar, maine tera dil toda
Mera bhi dil toota magar, tujkho nahin iski khabar
Teri yaad mein dil thaamkar tadpoonga main saari umar

Yeh pyaar ishq aur mohabbat kya hai yeh ab maine jaana - 2
Vaapas magar kaise aaye guzra hua voh zamaana
Guzra hua voh zamaana
Main bewafa, main bekadar, maine tera dil toda
Mera bhi dil toota magar, tujkho nahin iski khabar
Teri yaad mein dil thaamkar tadpoonga main saari umar

The Dirty Picture (2011) - Honeymoon ki Raat

Singer: Sunidhi Chauhan
Song Writer: Rajat Aroraa
Music Composer: Vishal-Shekhar
Music Label: T-Series
Starring: Vidya Balan, Naseeruddin Shah, Emraan Hashmi, Tusshar Kapoor
Release Date: December 2, 2011

Lyrics:


Hmm..Honeymoon ki raat hoti hai
Main wahi raat hoon
Uss raat mein joh baat hoti hai
Main wohi baat hoon
Hosh uda de jo dilbar ka
Main wahi sharab hoon
Kaamdev ka sutra padha hai
Main wohi kitaab hoon
Main wohi kitaab hoon

Banjo! si bajti hoon
Khwabon! mein sajti hoon
Karle mere gentlemen kharabi zara
Whisky si chadhti hoon
Hichki si phasti hoon
Bann ja mere gentlemen sharabi zara

Bhool jayein hum joh khud ko
Aisi meh tu pila de zara

Kamre mein andhera kar
Aankhon ko khol de
Jo bhi hai tere dil mein
Chupke se mehfil mein kaanon mein bol de

Khatre ka darr na kar
Har hadh ko todh de
Zara saa aage badh
Tu na mujhse aise lad
Tu sab mujh pe chhod de

Arey buraa..

Sapna jis mein main na hoon
Main hi main hoon
Main ki main hoon
Mujh mein meh tu Mila de zara

Har jalwa mera qaatil
Main hothon se dasti hoon
Sssh...
Chhuri si chubhti hoon
Goli si lagti hoon
Zehar si chadhti hoon
Har tann pe sajta hai jo
Main aisa sona hoon
Jala ke joh na jale
Bujha ke joh na bujhe
Main aisa shola hoon

Hey jalaa
Kala hai, Mela hai, Ganda hai, Bala hai
Jeena woh jisme main naa hoon
Main hi main hoon
Main ki main hoon
Mujh mein main tu Mila de zara

Hmm..Honeymoon ki raat hoti hai
Main wahi raat hoon
Uss raat mein joh baat hoti hai
Main wohi baat hoon
Hosh uda de jo dilbar ka
Main wahi sharab hoon
Kaamdev ka sutra padha hai
Main wohi kitaab hoon
Main wohi kitaab hoon

Banjo! si bajti hoon
Khwabon! mein sajti hoon
Karle mere gentlemen kharabi zara
Whisky si chadhti hoon
Hichki si phasti hoon
Bann ja mere gentlemen sharabi zara

The Dirty Picture (2011) - Twinkle Twinkle

Singer: Shreya Ghoshal, Rana Mazumdar
Song Writer: Rajat Aroraa
Music Composer: Vishal-Shekhar
Music Label: T-Series
Starring: Vidya Balan, Naseeruddin Shah, Emraan Hashmi, Tusshar Kapoor

Lyrics:


Buddhe ho gaye
Par dil abb bhi jawaan hai
Aankhon se sukh lete hain hmm ha ha :) bade shaitaan hain
Bachcha naa bana diya toh 'Silk' mera naam nahi
Hosh na raha khud ka toh mujh par ilzaam nahi

Twinkle Twinkle main litle little
Star bann gayi
Jack n Jill ko bhi dekho
Mere naam ki chadh gayi ee...

Haaye!
Twinkle Twinkle main litle little Star bann gayi
Jack n Jill ko bhi dekho mere naam ki chadh gayi
Humpty ghayal hua, Dumpty pagal hua
Johnny ka papa bhi mujh par kayal hua

Ho thirsty thirsty aankhien teri
Tasty Tasty baahein meri
Dil ko tu taale mein apne rakhna
Khelein aankh micholi tujhse mera silky thumka
Karta dil ki naughty baatein mera silky thumka

Oh oh...
Khelein aankh micholi tujh se mera silky thumka
Karta dil ki naughty baatein mera silky thumka

Naa hai tu Zeenat, Naa Hema naa Rakhi naa Rekha,
Hua hai deewana woh Jisne bhi tujhe hai dekha
Ho.. apna deedaar dede (aaha!)
Haan mujhko pyaar dede (aaha!)
Din hai yeh chhoti
Bas tu raatein dede

Ho thirsty thirsty aankhien teri
Tasty Tasty baahein meri
Dil ko tu taale mein apne rakhna
Khelein aankh micholi tujhse mera silky thumka
Karta dil ki naughty baatein mera silky thumka

Ho Ho...
Khelein aankh micholi tujhse mera silky thumka
Karta dil ki naughty baatein mera silky thumka

The Dirty Picture (2011) - Ishq Sufiyana

Singer: Kamal Khan
Song Writer: Rajat Aroraa
Music Composer: Vishal-Shekhar
Music Label: T-Series
Starring: Vidya Balan, Naseeruddin Shah, Emraan Hashmi, Tusshar Kapoor
Release Date: December 2, 2011

Lyrics:


Rab ki qawali hai Ishq koi
Dil ki Diwali hai Ishq koi
Mehki si pyaali hai Ishq koi
Subah ki laali hai Ishq....
Girta sa jharna hai Ishq koi
Uthta sa kalma hai Ishq koi
Saanson mein lipta hai ishq koi
Aankhon mein dikhta hai Ishq

Mere dil ko tu jaan se juda kar de
Yun bas tu mujhko fanaa kar de
Mera haal tu, meri chaal tu
Bas kar aashiqana

Tere waaste mera Ishq Sufiyana
Mera Ishq Sufiyana
Mera Ishq Sufiyana (x2)

Rab ki qawali hai Ishq koi
Dil ki Diwali hai Ishq koi
Mehki si pyaali hai Ishq koi
Subah ki laali hai Ishq....

Sochu tujhe toh hai subah
Sochu tujhe toh shaam hai

Ho o manzilon pe ab toh meri ek hi tera naam hai
Tere aag me hi jalte, koyle se heera bante
Khwaabon mein aagey chalte hain tujhe batana

Tere waaste mera Ishq Sufiyana
Mera Ishq Sufiyana
Mera Ishq Sufiyana (x2)

Saath-saath chalte-chalte haath chhoot jayenge
Aisi raahon mein milo naa
Baatein-baatein karte-karte raat kat jaayegi
Aisi raaton mein milo naa

Kya hum hain, kya Rab hai
Jahaan tu hai wahin sab hai
Tere lab mile mere lab khile
Ab door kya hai jaana

Tere waaste mera Ishq Sufiyana
Mera Ishq Sufiyana
Mera Ishq Sufiyana

Tere waaste mera Ishq Sufiyana
Mera Ishq Sufiyana
Mera Ishq Sufiyana

Rab ki qawali hai Ishq koi
Dil ki Diwali hai Ishq koi
Mehki si pyaali hai Ishq koi
Subah ki laali hai Ishq....

Mere dil ko tu jaan se juda kar de
Yun bas tu mujhko fanaa kar de
Mera haal tu, meri chaal tu
Bas kar aashiqana

Tere waaste mera Ishq Sufiyana
Mera Ishq Sufiyana
Mera Ishq Sufiyana(x2)

The Dirty Picture (2011) - Tu Hai Meri Fantasy

Singer: Shreya Ghoshal, Bappi Lahiri
Lyrics: Rajat Aroraa
Music Composer: Vishal-Shekhar
Music Label: T-Series
Starring: Vidya Balan, Naseeruddin Shah, Emraan Hashmi, Tusshar Kapoor
Release Date: December 2, 2011



Lyrics:


Haa'aanh
'Ssh Chutki jo tune kaati hai
Chori Se kaati hai, yahaan-wahaan
Roothi hoon main tujh se roothi hoon
Mujhe mana le na O jaan-e-jaan

Chhedenge hum tujhko
Ladki tu hai badi bumbat
Ooh la la ooh la la
Ooh la la ooh la la
Tu Hai Meri Fantasy ee ....

Choona na choona na
Choona na choona na
Ab main jawaan ho gayi

arey arey arey....
Ooh la la ooh la la
Ooh la la ooh la la
Tu Hai Meri Fantasy ee ee....

Choona na choona na
Choona na choona na
Ab main jawaan ho gayi

Haan'aah...
Haan'aah...
Haan'aah...
Haaye Chhuaa jo tune jo Dil ne maari seeti
De de inn gaalo pe ik pappi meethi meethi

Haaye Chhuaa jo tune jo Dil ne maari seeti
De de inn gaalo pe ik pappi meethi meethi

Yovan tera saawan bhara
Bheeg gaya dil ye meraa

Haaye! tune hi barsaat karayi
Kya kare ye yovan bechara
Bechara
Bechara.

Ooh la la ooh la la
Ooh la la ooh la la
Tu Hai Meri Fantasy

Na na naa
Choona na choona na
Choona na choona na
Ab main jawaan ho gayi

Ooh la la ooh la la
Ooh la la ooh la la
Tu Hai Meri Fantasy

Choona na choona na
Choona na choona na
Ab main jawaan ho gayi
Tu Hai Meri Fantasy
Aaan'haa..

Don 2 (2011) - Title Song

Song:Title Song
Movie: Don 2 (2011)
Cast: Shahrukh Khan, Priyanka Chopra, Lara Dutta, Boman Irani, Om Puri, etc
Release Date: December 23rd 2011

Lyrics:

Na koi raat hai
Na koi din yahan
Kya yeh andhera hai
Ki sirf hai dhuaan
Aankhein dhoka khati hain
Yeh kisko pata nahi
Jaane kya hai yahaan
Aur jaane yahaan kya nahi
Hai ye maya…
Heere joh lagte hai woh
Mumkin hai angaarein ho
Chingari lagte hai jo
Ho sakta hai taare ho
Aankhein dhoka khati hain
Yeh kisko pata nahi
Jaane kya hai yahaan
Aur jaane yahaan kya nahi
Hai ye maya…
Chehre hai sab ek se
Tu kaise pehchaanega
Dushman hai ya dost hai
Tu kaise ye jaanega
Aankhein dhoka khati hain
Yeh kisko pata nahi
Jaane kya hai yahaan
Aur jaane yahaan kya nahi
Hai ye maya…
Hai ye maya…
Hai ye maya…
Hai ye maya…

Don 2 (2011) - Mujhko Pehchaanlo

Song Name: Hadippa
Singer(s): K K
Music Director: Shankar, Ehsaan & Loy
Lyricist: Javed Akhtar
Length: 3:26


Lyrics:

Duniya mein logon ne
Phir apne dil thaame
Aaya hoon lekar main
Phir kitne hungame

Phir maine socha hai
Main jeetun sab haare
Darwaaze khul jaaye
Gir jaaye dewaarein
Mujhse takra paya hai kaun
Mujhko pehchaanlo, main hoon Don

Duniya mujhe jo bhi kahe
Iss ki mujhe parwah hai kya
Mujhko ko toh hai yeh dekhna
Jeetne ki hai raah kya
Jo mujhko, rokna chaahe
Unko hai, kya yeh pata

Don ko pakadna mushkil hi nahin namumkin hai

Duniya phir jeetne aya kaun (Don, Don)
Mujhko pehchaanlo, main hoon Don

Don

Don 2 (2011) - Dushman Mera

Song Name: Dushman Mera
Singer(s): Sunitha Sarathy, Shankar Mahadevan
Music Director: Shankar, Ehsaan & Loy
Lyricist: Javed Akhtar
Length: 3:43

Lyrics:


Koi jaane na
Yeh kaisi aag hai
Mere dil ko dasta
Yeh kaisa naag hai
Har ghadi, mainm jisko dhoondun
Bachke na jaayega
Haan kahin, na kahin toh ik din
Mujhe mil hi jaayega
Dushman mera

Mujhe dhoondna, aasaan hai kahaan
Zameen dekh lo, ya aasmaan
Main ik pal yahan, main ik pal hoon wahan
Nahin paaoge, mera nishaan
Jo koi bhi, mujhko dhoonde
Woh kuch naa paayega
Dil mein hi, woh, dil ke armaan
Wapas le jaayega
Samjhe zara, dushman mera

Inn aankhon mein hai, jaane kaisi jwala
Iss ko matt bujhne dena, sunn lo mera kehna
Gusse mein kitni, tum dilkash lagti ho
Jab tak bhi reh pao tum, gusse mein hi rehna

Mera gussa toh, dekhoge ek din
Mere dil mein kya hai, jaanoge ek din
Tumse, main, itna keh doon
Woh din jab aayega
Dil mein hi, woh, dil ke armaan
Wapas le jaayega
Samjhe zara, dushman mera

Don 2 (2011) - Hai Ye Maya

Song Name: Hai Ye Maya
Singer(s): Usha Uthup
Music Director: Shankar, Ehsaan & Loy
Lyricist: Javed Akhtar
Length: 4:42


Lyrics:

Na koi raat hai
Na koi din yahaan
Kya yeh andhera hai
Ki sirf hai dhuan
Aankhein dhoka khaati hain yeh kisko pata nahin
Jaane kya hai yahaan aur jaane yahaan kya nahin
Hai ye maya

Heere jo lagte hai woh
Mumkin hai angaarein ho
Chingaari lagte hai jo
Ho sakta hai taare ho
Aankhein dhoka khaati hain yeh kisko pata nahin
Jaane kya hai yahaan aur jaane yahaan kya nahin
Hai ye maya

Chehre hain sab ek se
Tu kaise pehchaanega
Dushman hai ya dost hain
Tu kaise yeh jaanega
Aankhein dhoka khaati hain yeh kisko pata nahin
Jaane kya hai yahaan aur jaane yahaan kya nahin
Hai ye maya - 4 times

Don 2 (2011) - Zaraa Dil Ko Thaam Lo

Song Name: Zaraa Dil Ko Thaam Lo
Singer(s): Vishal Dadlani, Anusha Mani
Music Director: Shankar, Ehsaan & Loy
Lyricist: Javed Akhtar
Length: 5:08

Lyrics:

Dilkashi aur dilbari
Uski hai jadoogari oh

Dilkashi aur dilbari
Uski hai jadoogari oh
Jiski aankhein hai taare
Tehra jis pal hai saare
Aye dil yeh sach hai kya
Aaj woh hai kya, aa hi gaya

Zaraa dil ko thaam lo, naam lo
Keh bhi do hai kaun
Aa gaya, aa gaya
Laut ke, dekho Don

Jo na samjha koi main wohi raaz hoon
Jo kisi ka nahin hai woh andaaz hoon

Jo na samjha koi main wohi raaz hoon
Jo kisi ka nahin hai woh andaaz hoon
Main samandar se gehra
Main kahin kab hoon thehra
Main hoon, jaise dhuan
Yeh dhuaan kahin hai rukta kahan

Zaraa dil ko thaam lo, naam lo
Keh bhi do hai kaun
Aa gaya, aa gaya
Laut ke, dekho Don

Tu nahin hai dhuan
Ik shola hai tu meri jaan
Paas tere magar aaungi
Tujh mein hi jalke marr jaungi
Mujhko chaha toh paaogi kya
Main kahan jaaunga mera kya hai pata

Zaraa dil ko thaam lo, naam lo
Keh bhi do hai kaun
Aa gaya, aa gaya
Laut ke, dekho Don
Dekho Don

Don 2 (2011) - Aa Raha Hoon Palat Ke

Song Name: Aa Raha Hoon Palat Ke
Singer(s): Shahrukh Khan
Music Director: Shankar, Ehsaan & Loy
Lyricist: Javed Akhtar
Length: 0:35

Lyrics:

Mere dushman samajh rahe thay main
Ab kabhi laut ke na aaunga
Ek gumnaami ka samundar hai
Uss mein hi jaa ke doob jaunga
Abhi baaki meri kahani hai
Saari duniya ko jo sunaani hai
Mujhe phechano, dekho main hun kaun
Aa raha hoon palat ke
Main hoon Don, Don, Don