Tuesday, January 17, 2012

Talat Mahmood's - Beraham aasamaan

Title: Beraham aasamaan merii manzil bataa hai kahaan
Film: Bahana
Music Director: Madan Mohan 
Lyricist:  Rajinder Krishan 
Singer(s):  Talat 

Lyrics:

Beraham aasamaan merii manzil bataa hai kahaan

mujhse qismat ne dhokhaa kiyaa
har qadam pe nayaa Gam diyaa
hai khushii kii qasam ki yahaan
chain kaa saans tak na liyaa
bujh gayaa dil meraa
raas aayaa na teraa jahaan
beraham aasamaan ...

terii duniyaan men yuun ham jiye
aansuon ke samundar piye
dil men shiqave tadapate rahe
honth lekin hameshaa siye
kab talaq ham rahen
terii duniyaan men yuun bezubaan
beraham aasamaan ...

ab koii bhii tamannaa nahiin
ab yahaan ham ko jiinaa nahiin
zindagii ab tere jaam se
ek qataraa bhii piinaa nahiin
maut ko bhej ke
khatm kar de merii dastaan
beraham aasamaan ...

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.